Dosto Aaj TechGyan In Hindi Me Hum Baat Karenge
|
Hax4us TechGyan |
Ki Shell Kya Hota Hai And GUI And CLI Kya Hota Hai And Scripts Se Hacking Kese Hoti Hai Ya Iska Process And Example Bhi Discuss Karenge.
Chaliye Dekhte Hai...
Dosto Shell Ko Janne Ke Liye Sabse Important Ye Hai Ki Hum First Kernel Ko Samje....
So What Is Kernel ?
Dosto Kernel Kisi Bhi Operating System Ka Ek Part Hota Hai And Jab Aap Apna System Start Ya Boot Karte Hai To Sabse Pehle Boot Ya Load Hone Wala Program Kernel Hota Hai.
Kernel Use Kyo Hota Hai...?
Kernel Ka Use Ek Bridge Ki Tarah HoTa Hai Jo Hardware Ko Software Se Jodta Hai Means Operating System Ya Applications Ki Jo Bhi Need Hoti Hai Vo Kernel Hardware Se Interact Karke Fulfill Karta Hai..
Jese Input/Output Devices , CPU ,RAM , ROM HDD Ye Sare Hardware Components Kernel Ka Use Karke Hi Software Ya Operating system Se Connect Hote Hai..
What Is Shell ?
To Dosto Ab Baat Aati Hai Ki Shell Kya Hota Hai .Shell Ek Esa Program Hota Hai Jo Aapki Application Ya Software Ko Kernel Se Connect Karta Hai. Means Kernel Connect Karta Hai Hardware Se And Shell Connect Karta hai Kisi bhi Software Ya Application ko Kernel Se .
To Dosto Aap Sabhi Windows Se To Parichit Honge Hi Vo Ek Operating System Hai. To Jab Aap Usme Koi Bhi Work Karte Hai To Aapko Koi Command Nahi Daalni Padti For Example Jab Aapko Koi File Ya Folder Delete Karna Ho To Aap Use Select Karte And Delete Kardete Hai Means Without Any Knowledge Of Command We Can Use Windows...
But Dosto Me Aapko Ek Baat Batadu Ki Vo Bhi Ek Shell Hi hai But Vo GUI Type Ka Hai
GUI kya Hai ?
Graphical User Interface . Means Issme Aap Icons And Or Bhi Visual Effect Se System Se Connect Ya Interact Ho Sakte Hai Isme Aapko Koi Command Ka Use Nahi Karna Padta..
To Dosto GUI Shell Aap Samaj Gaye Honge Ki Ye Kya Hota Hai..
Now Ab Baat Karte Hai CLI Shell Ke Baare Me ....
CLI (Command Line Interface) Shell Ka Ek Best Example Kali Linux OS Hai Isme Aapko almost All Tasks Terminal Me Hi Perform Karni Padti Hai And Terminal Ka Use Karne Ke Liye Ye Important Hai Ki Hume Commands Ki knowledge Ho ...
So Dosto Isme GUI Ka Use Na Ke Barabar Hota Hai..
To Shell Scripts Kya Hoti Hai And Isse Hacking Operation Kese Perform kiye Jate Hai...?
Maan Lijiye Aapko Ek Task Complete Karne Ke Liye 10 Command Ek Saath Daalni Hai To Ye Bahut Hi Hard And Time Consuming Process Ho Jayega So Isse Bachne Ke Liye Hum Ek Batch File Banayege Jisme Vo Saari Commands Hogi Jo Hume Perform Karni Hai To Yahi Shell Script Hoti Hai Jisse Hum Apna Task Easy And Automated Karte Hai..
Ab Aapne USB Rubber Ducky Ya USB Stealer Ke Baare Me Suna Hoga Jo Kisi Bhi PC Me Plugin Karte Hi Saare Password Steal Karleta Hai ...To Vo Kya Hai....Vo Bhi Ek Batch File Hi Hai Jisme Esi Commands Hai Jo Automatic Execute Hoti Hai And Sab Kuch Steal Karleti Hai.
Note :- Agar Apko Iss Post Se Related Koi Bhi Problem Hai To Aap Comment Me Pooch Sakte Hai.