Friday 3 March 2017

Scripting For Hacker Part-1 In Hindi

Leave a Comment
Hax4Us Bash Scripting
Dosto Aaj Saturday Hai And Aajse Hum Scripting Ke Baare Me Padenge...


Chaliye Dekhte Hai...

As the BASH shell is available on nearly all Linux and UNIX distributions (including Mac OS X, BackTrack, and Kali), we will be using the BASH shell, exclusively.


Requirents :


Steps :

  1. First Aapko Need Hai Ek Text Editor Ki To Aap Sabse Pehle Use Download Kar Lijiye (Agar Aap Windows User Hai To Me Aapko Notepad Suggest Karunga And Android User Hai To Me Aapko Jota Text Editor Suggest Karunga.
  2. Ab Aap Apna Text Editor Open Kare (We Will Using JoTA Text Editor In This Tutorial)
  3. Hum Sabse Pehle Ek Small Script Banayege Jo Ek Message Return Karega "Hello, Hax4Us" 
  4. To Ab Hum Humari Script Ki Fist Line Start Karega Shebang or #! . Shebang Symbol #! Humare Operating System Ko Ye Batata Hai Ki Ab Iss Symbol Ke Baad Jo Bhi Type Karenge Vo Humara Interpreter Hoga.
  5. Frr Hum Type Karege /bin/bash . Iska mean Ye Hai Ki Humne Operating System Ko Bata Diya Hai Ki Hum Bash Shell Interpreter Use Karenge. Ab Humari Line Kuch Iss Tarah Dikhegi :- #! /bin/bash
  6. Ab Next Line Me Hum type Karenge echo , Ye Linux Ki Ek Command Hai Jiska Use Repeat Back Or Return Back Karne Ke Liye Kiya Jata Hai Means echo command Same Printf Ki Tarah Work Karti Hai And Printf To Pata Hi Hoga Sabhi Ko Agar Nahi Pata To Mere C Language Ke Tutorial Dekhe. To Matlab Hum echo Ke Baad Jo bhi likhenge vo return back screen par show hoga , like hum yaha likhege :- echo"Hello, Hax4Us" (Ek Baat Dhyaan Dijiyega Ki echo Ke Baad Hum Jo bhi message print karna chahte hai vo quotation marks "" ke bich me aayega.
  7. Ab humari Script kuch iss tarah dikhegi :- 
    Hax4Us Bash Scripting
  8. To Ab Isse Aap Run Kar Sakte Hai..
  9. Run Karne Ke Liye Apni Script Save Kare (Me Yaha Android Mobile Me Run Karne Ka Example De Raha Hu agar aap kisi or platform par run karna chahte to aap comment me pooch sakte hai.)
  10. Ab Aap Terminal Emulator Download Kare Jo Play Store Pe Bhi Available Hai.
  11. And Maan Lijiye Meri Script Mere Sdcard Me Ek Folder Hai Hax4us Naam se usme save hai and meri script file ka naam Hai "HAX".
  12. To Ab Terminal Me Niche Di Gayi Command Daaliye :- cd sdcard/Hax4Us
    Hax4Us Bash Scripting
  13. And frr enter kardijiye .
    Hax4Us Bash Scripting
  14. Ab Aap command dale :- sh HAX
  15. Enter.
    Hax4Us Bash Scripting
  16. Ab Aapki Script Run Ho Chuki Hai. 

To Aaj Humne Bash Scripting Ke Basic And Creation Ke Baare Me Baat Kari And Aage Bhi Esi Hi Simple Hindi Me Teach Karta Rahunga *So Support Us* Jyada Nahi To Aap Mera Fb page Hi Like Kar Sakte Hai (click here)

* Subscribe Karna Na Bhoole Because Each Saturday Me Bash Script Ke Baare Me New New Concept Clear Karunga *

Note :- Agar Aapko Iss Post Se Related Koi Bhi Problem Hai To Aap Comment Me Pooch Sakte Hai.
If You Enjoyed This, Take 5 Seconds To Share It

0 comments:

Post a Comment