Saturday 11 March 2017

Scripting For Hacker Part-2 In Hindi (Saturday Special)

Leave a Comment
Hax4Us
Dosto Aaj Saturday Hai And Me Each Saturday Bash Scripting Ka Ek Concept Clear Karta Hu...

Chaliye Dekhte Hai....

Dosto Aaj Hum Baat Karenge VARIABLES Ke Baare Me ...

So , What Is Variables ?

  • Dosto VARIABLES humari system (computer) memory ki vo location hoti jaha hum apna data save karte hai. Means agar hume apni script me koi bhi value use karni hai to sabse pehle use kahi memory me save karna padega ...
  • To iske liye hum variables ka use karte hai, iss process ko declaration process kehte hai...
  • apni script me agar hume kisi variable ko declare karna hai to uska syntax esa hoga :- variable_name=value *For Example agar hume apni script me "hello" print karna hai to hum usko ek variable ki help se print kar sakte hai :-
          #!bin/bash
          var1=hello
          echo"var1"

  • uppar code me first line ka meaning to me aapko apni previous post me bata chuka hu (agar aapne part-1 nahi dekha hai to aap pehle use dekhe)and second line mene var1=hello likha hai iska meaning ye hai ki mene ek variable declare kiya hai jiska name hai var1 and uski value mene di hai hello jiska meaning ye hua ki ab humari script jab execute hogi tab var1 me hello save ho jayega (mene aapko pehle hi bataya ki variable ka use hum apni values or data ko save karane ke liye karte hai).
  • Vese aap apne variable ka name kuch bhi rakh sakte hai.
Some Instructions On Using Variables :
  • Variable Ki declaration always alphanumeric ya underscore( _ ) se start honi chahye.
  • Variable Me Hum Jab Koi Value Ya Data Save Karate Hai Tab Hum Assignment Operator Ka Use Karte Hai and hume iss baat ka dhyaan dena hai ki assignment operator se pehle ya baad me koi space nahi hona chahye. For Example var1=hello ( It is Right) But var1 =hello or var1= hello (both are wrong).
  • Variables Names CASE sensitive hote hai means capital and small letters dono different hote hai For Example VAR1=hii and var1=hello (both are different ) agar aap var1 print karate hai to hello print hoga and jab aap VAR1 print karayenge to hii hoga
Dosto To Aaj Humne Jo Bhi Sikha Use Aap Ek Baar Practice Jarur Karna And Ese Hi Me (devil) Aapke Liye Har Saturday Ek New Concept Clear Karunga Or Aap Agar Daily 1 hour Bhi Practice Kare To Aapko Ek Ethical Hacker Banne Se Koi Nahi Rok Sakta...

Agar Aapko Ye Post Best Lagi To Please Aap Comment Karna Na Bhoole.!!

Note :- Agar Aapko Iss Post Se Related Koi Bhi Problem Ho To Aap Comment Me Pooch Sakte Hai.
If You Enjoyed This, Take 5 Seconds To Share It

0 comments:

Post a Comment